Wo Jo Sarf-e-nigah Karta Hai

wo jo sarf-e-nigah karta hai

is tamashe ka ek hissa hai

ek andhera hun sar se panw tak

phir ye pahlu mein kiya chamakta hai

ek din un ko zinda dekha tha

jan buzurgon ka ye asasa hai

shahr-e-matam ki is bala se na Dar

aaina bhi tilism rakhta hai

kis ke pairon ke naqsh hain mujh mein

mere andar ye kaun chalta hai

naqsh hai kaun aasmanon mein

in zaminon mein kis ka chehra hai

main ne banjar dinon mein kholi hai aankh

main ne peDon ko marte dekha hai

(655) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Jo Sarf-e-nigah Karta Hai In English By Famous Poet Atiiqullah. Wo Jo Sarf-e-nigah Karta Hai is written by Atiiqullah. Read famous Poem Wo Jo Sarf-e-nigah Karta Hai for youth and Student by Atiiqullah. Free Download Wo Jo Sarf-e-nigah Karta Hai in PDF.