GhuTi GhuTi Si Faza Mein Shaguftagi To Mili

ghuTi ghuTi si faza mein shaguftagi to mili

chaman mein shukr hai hansti koi kali to mili

bala se barq giri mere aashiyane par

andheri raat ke rahraw ko raushni to mili

raha na shikwa-e-be-chaargi ki ghurbat mein

qadam qadam pe sahaare ko be-kasi to mili

hamare dil se koi puchhe qadr us mai ki

jo ek bund sahi waqt-e-tishnagi to mili

sambhal sambhal ke mere dil ko toDne wale

teri jafa mein mohabbat ki chashni to mili

kisi ka bhi na rakha tha KHirad ne apne siwa

junun ki rah pe chalne se aagahi to mili

na tha nasib mein gar sim-o-zar to kya 'saqi'

dar-e-habib ki hum ko gadagari to mili

(711) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

GhuTi GhuTi Si Faza Mein Shaguftagi To Mili In English By Famous Poet Aulad Ali Rizvi. GhuTi GhuTi Si Faza Mein Shaguftagi To Mili is written by Aulad Ali Rizvi. Read famous Poem GhuTi GhuTi Si Faza Mein Shaguftagi To Mili for youth and Student by Aulad Ali Rizvi. Free Download GhuTi GhuTi Si Faza Mein Shaguftagi To Mili in PDF.