Jahan Nifaq Ke Shoale Milen Bujha Ke Chalo

jahan nifaq ke shoale milen bujha ke chalo

charagh amn-o-mohabbat ka tum jala ke chalo

tumhaare baad bhi aaenge qafile yaro

milen jo rah mein kanTe unhen haTa ke chalo

abhi to kaam inhen bhi bahut se karne hain

numud-e-subh hai soton ko bhi jaga ke chalo

ishaara waqt ka ye hai ki ai jahan walo

niyaz-o-naz ki tafriq ko miTa ke chalo

bhaTak rahe hon jo rahon mein denge tum ko dua

bujhe charagh sar-e-rahguzar jala ke chalo

tumhein bhi zindagi-e-jawedan mayassar ho

wafa ki rah mein dil ko agar miTa ke chalo

mile hain hosh-o-KHirad is liye tumhein 'saqi'

junun ki rah mein hosh-o-KHirad luTa ke chalo

(754) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jahan Nifaq Ke Shoale Milen Bujha Ke Chalo In English By Famous Poet Aulad Ali Rizvi. Jahan Nifaq Ke Shoale Milen Bujha Ke Chalo is written by Aulad Ali Rizvi. Read famous Poem Jahan Nifaq Ke Shoale Milen Bujha Ke Chalo for youth and Student by Aulad Ali Rizvi. Free Download Jahan Nifaq Ke Shoale Milen Bujha Ke Chalo in PDF.