KHadshe The Sham-e-hijr Ke Subh-e-KHushi Ke Sath

KHadshe the sham-e-hijr ke subh-e-KHushi ke sath

tarikiyan bhi pai gain raushni ke sath

jari hai subh-o-sham jafaon ka silsila

kitna hai un ko rabt meri zindagi ke sath

ab dekhna hai mujh ko tere aastan ka zarf

sar ko jhuka raha hun baDi aajizi ke sath

zaKHm-e-jigar khula to tabassum kaha gaya

insaf ho saka na chaman mein kali ke sath

lamhe to zindagi mein mile an-ginat magar

ek lamha bhi guzar na pae KHushi ke sath

waqt-e-sahar hai uTTho kamar tum bhi bandh lo

suraj nikal raha hai nai raushni ke sath

'saqi' har ek ke bas ka nahin kar-e-mai-kashi

aadab-e-mai-kashi bhi hain kuchh mai-kashi ke sath

(852) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHadshe The Sham-e-hijr Ke Subh-e-KHushi Ke Sath In English By Famous Poet Aulad Ali Rizvi. KHadshe The Sham-e-hijr Ke Subh-e-KHushi Ke Sath is written by Aulad Ali Rizvi. Read famous Poem KHadshe The Sham-e-hijr Ke Subh-e-KHushi Ke Sath for youth and Student by Aulad Ali Rizvi. Free Download KHadshe The Sham-e-hijr Ke Subh-e-KHushi Ke Sath in PDF.