Ubharte Chand Sitaron Ka Tazkira Bhi Karo

ubharte chand sitaron ka tazkira bhi karo

KHizan ke sath bahaaron ka tazkira bhi karo

gulon ki chhanw mein aaram karne walo kabhi

hamari rah ke KHaron ka tazkira bhi karo

hamesha sail-o-talatum ka zikr karte ho

sukun-ba-dosh kinaron ka tazkira bhi karo

rabab-o-chang ke naghmon se gar mile fursat

shikasta saz ke taron ka tazkira bhi karo

KHizan ki god mein aankhon ko kholne walo

nazar-nawaz bahaaron ka tazkira bhi karo

hasin chandni raaton se khelne walo

sahar ke Dubte taron ka tazkira bhi karo

hamesha zikr-e-shab-e-tar kis liye 'saqi'

kabhi sahar ke nazaron ka tazkira bhi karo

(833) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ubharte Chand Sitaron Ka Tazkira Bhi Karo In English By Famous Poet Aulad Ali Rizvi. Ubharte Chand Sitaron Ka Tazkira Bhi Karo is written by Aulad Ali Rizvi. Read famous Poem Ubharte Chand Sitaron Ka Tazkira Bhi Karo for youth and Student by Aulad Ali Rizvi. Free Download Ubharte Chand Sitaron Ka Tazkira Bhi Karo in PDF.