Shikasta-dil Ki KHushi Dosto KHushi To Na Thi

shikasta-dil ki KHushi dosto KHushi to na thi

hansi pe waqt ke ek tanz tha hansi to na thi

tamam umr jise raushni samajhte rahe

fareb-e-chashm-e-tamanna tha raushni to na thi

kisi ke baad jo guzri kisi ki hasrat mein

wo ek saza-e-mohabbat thi zindagi to na thi

jise zamane ne gul ki hansi ka nam diya

wo ek kaifiyat-e-karb thi hansi to na thi

main tark rasm-e-wafa bewafa se kyun karta

tha iKHtila-e-KHayalat dushmani to na thi

hansi hansi mein mere dil ko chhinne wale

ye intiqam-e-mohabbat thi dilbari to na thi

mili thi rah-e-hawas mein jo raushni 'saqi'

wo ek zulmat-e-rahzan thi raushni to na thi

(881) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shikasta-dil Ki KHushi Dosto KHushi To Na Thi In English By Famous Poet Aulad Ali Rizvi. Shikasta-dil Ki KHushi Dosto KHushi To Na Thi is written by Aulad Ali Rizvi. Read famous Poem Shikasta-dil Ki KHushi Dosto KHushi To Na Thi for youth and Student by Aulad Ali Rizvi. Free Download Shikasta-dil Ki KHushi Dosto KHushi To Na Thi in PDF.