Naw Tufan Mein Jab Zer-o-zabar Hoti Hai

naw tufan mein jab zer-o-zabar hoti hai

naKHuda par kabhi maujon pe nazar hoti hai

dur hai manzil-e-maqsud safar hai darpesh

sone walon ko jaga do ki sahar hoti hai

aur baDh jati hai kuchh quwwat-e-ehsas-e-amal

jitni dushwar meri rah-guzar hoti hai

ghar ke chhuTne ka asar aalam-e-ghurbat ka KHayal

kaifiyat dil ki ajab waqt-e-safar hoti hai

kya guzarti hai gulon par koi un se puchhe

nam gulshan ka hai kanTon pe basar hoti hai

azm kahta hai mera main bhi to dekhun aaKHir

kaun si hai wo muhim jo nahin sar hoti hai

kaun kahta hai gharib-ul-watani mein 'saqi'

sath le-de ke faqat gard-e-safar hoti hai

(694) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Naw Tufan Mein Jab Zer-o-zabar Hoti Hai In English By Famous Poet Aulad Ali Rizvi. Naw Tufan Mein Jab Zer-o-zabar Hoti Hai is written by Aulad Ali Rizvi. Read famous Poem Naw Tufan Mein Jab Zer-o-zabar Hoti Hai for youth and Student by Aulad Ali Rizvi. Free Download Naw Tufan Mein Jab Zer-o-zabar Hoti Hai in PDF.