Na Puchho Kaise Shab-e-intizar Guzri Hai

na puchho kaise shab-e-intizar guzri hai

bhala ho dil ka bahut be-qarar guzri hai

hazar maslihaten jis mein kar-farma hon

wo ek nigah-e-karam hum pe bar guzri hai

hai istilah-e-mohabbat mein jis ka nam junun

wo ek rasm baDi paedar guzri hai

zarur us ne tere pairahan ko chuma tha

jo is taraf se saba mushk-bar guzri hai

wo baghban bhi koi baghban hai jis ki hayat

rahin-e-minnat-e-fasl-e-bahaar guzri he

luTa hai kaun gharib-ud-dayar raste mein

ye kis ke gham mein saba sogwar guzri hai

nisar us pe hun main jis ki zindagi 'saqi'

bashar ke auj ki aaina-dar guzri hai

(986) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Puchho Kaise Shab-e-intizar Guzri Hai In English By Famous Poet Aulad Ali Rizvi. Na Puchho Kaise Shab-e-intizar Guzri Hai is written by Aulad Ali Rizvi. Read famous Poem Na Puchho Kaise Shab-e-intizar Guzri Hai for youth and Student by Aulad Ali Rizvi. Free Download Na Puchho Kaise Shab-e-intizar Guzri Hai in PDF.