Aa Kar Uruj Kaise Gira Hai Zawal Par

aa kar uruj kaise gira hai zawal par

hairan ho raha hun sitaron ki chaal par

ek ashk bhi Dhalak ke dikhae ab aankh se

main sabr kar chuka hun tumhaare KHayal par

aa aa ke us mein machhliyan hoti rahin farar

hansti hai jal-pari bhi machheron ke jal par

mayus ho ke dekhna kya aasman ko

uDne ka shauq hai to meri jaan nikal par

main tang aa chuka hun ki samjhaun kis tarah

ek rose chhoD dunga tujhe tere haal par

kuchh yaad hai ki main ne banae the tere naqsh

phir itna naz kyun hai tujhe KHadd-o-KHal par

misl-e-gulab aap jo mahke hain bagh mein

bosa wasul kijiye titli ka gal par

tafriq kis tarah se karoge yahan pe 'zeb'

insan likha hua hai darindon ki khaal par

(4209) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aa Kar Uruj Kaise Gira Hai Zawal Par In English By Famous Poet Aurangzeb. Aa Kar Uruj Kaise Gira Hai Zawal Par is written by Aurangzeb. Read famous Poem Aa Kar Uruj Kaise Gira Hai Zawal Par for youth and Student by Aurangzeb. Free Download Aa Kar Uruj Kaise Gira Hai Zawal Par in PDF.