Aaina Hai KHayal Ki Hairat

aaina hai KHayal ki hairat

us pe tere jamal ki hairat

koi chehra nahin tamanna ka

kuchh nahin KHadd-o-KHal ki hairat

kaun sa sharq kis tarah ka gharb

kya junub-o-shumal ki hairat

aisa karta hun bandh deta hun

zaKHm par indimal ki hairat

dekhne wala bhi pareshan hai

TuTe shishe mein baal ki hairat

dil pe chalta hai dard ka jadu

aankh mein hai malal ki hairat

de gaya hai jawab aa kar wo

rah gai hai sawal ki hairat

sab ko hairat mein Dal deti hai

chaal par khai chaal ki hairat

khinch leti hai ek din KHud hi

jal-pari ko bhi jal ki hairat

tohfa milta hai jab janam-din pe

KHatm hoti hai sal ki hairat

tabsire the uruj par mere

main ne dekhi zawal ki hairat

sab ayan ho gaya zamane par

KHatm-shud mah-o-sal ki hairat

apna mazi bata raha hai 'zeb'

lauT aaegi haal ki hairat

(2253) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaina Hai KHayal Ki Hairat In English By Famous Poet Aurangzeb. Aaina Hai KHayal Ki Hairat is written by Aurangzeb. Read famous Poem Aaina Hai KHayal Ki Hairat for youth and Student by Aurangzeb. Free Download Aaina Hai KHayal Ki Hairat in PDF.