Aaine Se Guzarne Wala Tha

aaine se guzarne wala tha

aks-e-hasti bikharne wala tha

lafz tartib de raha tha main

sher mujh par utarne wala tha

dost taswir to parai thi

main to bas rang bharne wala tha

hum bhi kya us ke sath mar jate

marne wala to marne wala tha

phir achanak badal gaya manzar

main jise naqsh karne wala tha

phir mujhe samne se haTna paDa

aaina mujh se Darne wala tha

wo to naKHun ne mehrbani ki

warna ye zaKHm bharne wala tha

phul tha shaKH ki hatheli par

aur hawa mein bikharne wala tha

ab ki suraj tha ishtiha meri

main wahan panw dharne wala tha

tum ne dekha tha kitna sharminda

mujh pe tanqid karne wala tha

tishnagi thi uruj par apni

aur dariya utarne wala tha

hadisa ain us jagah pe hua

main jahan se guzarne wala tha

'zeb' aankhen na band karta agar

KHauf andar utarne wala tha

(1204) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaine Se Guzarne Wala Tha In English By Famous Poet Aurangzeb. Aaine Se Guzarne Wala Tha is written by Aurangzeb. Read famous Poem Aaine Se Guzarne Wala Tha for youth and Student by Aurangzeb. Free Download Aaine Se Guzarne Wala Tha in PDF.