Aaj Shab-e-mearaj Hogi Is Liye Tazin Hai

aaj shab-e-mearaj hogi is liye tazin hai

wo qadam uTThe hain jin ko aasman qalin hai

man ne paDh kar phunk di thi mujh pe bachpan mein kabhi

mere dil par naqsh ab tak sura-e-yasin hai

ashk ke bose ki lazzat kya bataun main tumhein

kya bataun main tumhein ye kis qadar namkin hai

us ko darweshi samajhne walon par hairan hun

hath mein kasa uThana ishq mein tauhin hai

ilm ki KHwahish tumhein manzil talak le jaegi

jaane wale to bano agle qadam par chin he

aur bhi yaron se kahna waqt pe sab aa milen

mere ghar ke sahn mein ek KHwab ki tadfin hai

sochna is bab mein bekar jaega tera

ye mohabbat hai miyan us ka alag aain hai

us ke lab par ek dua hai sirf meri maut ki

mere lab par kuchh nahin kuchh bhi nahin aamin hai

ab mohabbat ki taraf main lauTne wala nahin

dil ye tu ne Thik samjha aisa hi kuchh scene hai

uD raha hai 'zeb' ki tahrir ke aahang mein

ye parinda hazrat-e-iqbaal ka shahin hai

(1128) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaj Shab-e-mearaj Hogi Is Liye Tazin Hai In English By Famous Poet Aurangzeb. Aaj Shab-e-mearaj Hogi Is Liye Tazin Hai is written by Aurangzeb. Read famous Poem Aaj Shab-e-mearaj Hogi Is Liye Tazin Hai for youth and Student by Aurangzeb. Free Download Aaj Shab-e-mearaj Hogi Is Liye Tazin Hai in PDF.