Ab Koi Aur Musibat To Na Pali Jae

ab koi aur musibat to na pali jae

us ki yaadon se bhi ab jaan chhuDa li jae

wo bhi mere liye kuchh sochta hai sochta hun

kaise dil se mere ye KHam-KHayali jae

zist be-rabt hai par hai to KHuda ki neamat

jis tarah se bhi ye nibhti hai nibha li jae

aise bhi dost hain kuchh jin ka yahi maqsad hai

war kya un ki koi baat na KHali jae

yaad jis ki hamein sone nahin deti aksar

us sitamgar ki bhi ab nind chura li jae

us ke dar se main yahi soch ke lauT aaya hun

'zeb' ab ke bhi na dastak meri KHali jae

(1383) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Koi Aur Musibat To Na Pali Jae In English By Famous Poet Aurangzeb. Ab Koi Aur Musibat To Na Pali Jae is written by Aurangzeb. Read famous Poem Ab Koi Aur Musibat To Na Pali Jae for youth and Student by Aurangzeb. Free Download Ab Koi Aur Musibat To Na Pali Jae in PDF.