Ashk Ko Dariya Banaya Aankh Ko Sahil Kiya

ashk ko dariya banaya aankh ko sahil kiya

main ne mushkil waqt ko kuchh aur bhi mushkil kiya

ek mayusi hi dil mein kab talak rahti mere

main ne mayusi mein dil ka KHauf bhi shamil kiya

nind ki imdad jaise hi baham pahunchi mujhe

aankh ke maqtal mein apne KHwab ko daKHil kiya

warna tera chhoD jaana jaan le jata meri

karb mein aansu mila kar dard ko zail kiya

jaise duniya dekhti hai waise kab tak dekhte

dida-e-bina se dekhen KHud ko is qabil kiya

ek chehra aur do aankhen le gae bazar mein

girwi rakh ke un ko phir ek aaina hasil kiya

warna wo kab baat sunta tha kisi ki bazm mein

main ne apne sher se us shaKHs ko qail kiya

be-niyazi se guzare umr ke battis sal

kho diya kab jaane tujh ko kab tujhe hasil kiya

raat-din ulTa laTak kar zat ke kuen mein 'zeb'

soch ki na-puKHtagi ko mashq se kaamil kiya

(1141) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ashk Ko Dariya Banaya Aankh Ko Sahil Kiya In English By Famous Poet Aurangzeb. Ashk Ko Dariya Banaya Aankh Ko Sahil Kiya is written by Aurangzeb. Read famous Poem Ashk Ko Dariya Banaya Aankh Ko Sahil Kiya for youth and Student by Aurangzeb. Free Download Ashk Ko Dariya Banaya Aankh Ko Sahil Kiya in PDF.