Hawas Ne Mujhse Puchha Tha Tumhaara Kya Irada Hai

hawas ne mujh se puchha tha tumhaara kya irada hai

badan kar-e-mohabbat mein barae istifada hai

kabhi pahna nahin us ne mere ashkon ka pairahan

udasi meri aankhon mein azal se be-libaada hai

bhaDak kar shoala-e-wahshat lahu mein bujh gaya hoga

zara si aag thi lekin dhuan kitna ziyaada hai

agar tum ghaur se dekho ruKH-e-mahtab kam paD jae

falak par ek sitare ki jabin itni kushada hai

mujhe maskan samajhte hain ajab aaseb hain gham ke

main ek do se nimaT bhi lun ye pura KHanwada hai

use dhande se matlab hai wo dimak bechne wala

use wo KHak samjhega ye KHwabon ka burada hai

hum us se chah kar bhi bach nahin sakte kisi surat

nibhana paDta hai is ko mohabbat ek wada hai

mujhe shatranj ke KHanon mein chalna tu sikhaega

main farzi ban chuka kab ka tu ab tak ek piyaada hai

na-jaane katib-e-taqdir ne kya likh diya us par

meri taqdir ka safha na sidha hai na sada hai

main is haalat mein 'zeb' aaKHir kahan chalte hue jaun

na mujh mein hausla baqi na manzil hai na jada hai

(1545) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hawas Ne Mujhse Puchha Tha Tumhaara Kya Irada Hai In English By Famous Poet Aurangzeb. Hawas Ne Mujhse Puchha Tha Tumhaara Kya Irada Hai is written by Aurangzeb. Read famous Poem Hawas Ne Mujhse Puchha Tha Tumhaara Kya Irada Hai for youth and Student by Aurangzeb. Free Download Hawas Ne Mujhse Puchha Tha Tumhaara Kya Irada Hai in PDF.