Jo Kaha Tha Tumhein Suna Bhi Tha

jo kaha tha tumhein suna bhi tha

aazmana nahin kaha bhi tha

mera milna nahin hua lekin

main to apni taraf gaya bhi tha

ishq hota hai manta hun main

mujh ko ek bar ye hua bhi tha

ye saza jo bhugat rahe ho tum

kya haqiqat mein kuchh kiya bhi tha

mere marne ka kya hua matlab

us ka matlab ki main jiya bhi tha

tum to zinda ho ab talak pyare

zahr ko Thik se piya bhi tha

(1517) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Jo Kaha Tha Tumhein Suna Bhi Tha In English By Famous Poet Aurangzeb. Jo Kaha Tha Tumhein Suna Bhi Tha is written by Aurangzeb. Read famous Poem Jo Kaha Tha Tumhein Suna Bhi Tha for youth and Student by Aurangzeb. Free Download Jo Kaha Tha Tumhein Suna Bhi Tha in PDF.