Nihatte Aadmi Pe BaDh Ke KHanjar Tan Leti Hai

nihatte aadmi pe baDh ke KHanjar tan leti hai

mohabbat mein na paD jaana mohabbat jaan leti hai

use KHamosh dekhun to sunai kuchh nahin deta

dikhai kuchh nahin deta nazar jab kan leti hai

udasi aashna hai is qadar aahaT se meri ab

jahan se bhi guzarta hun mujhe pahchan leti hai

KHushi to de hi deti hai teri duniya mujhe la kar

magar badle mein wo us ke mera iman leti hai

bas ek lamha lagati hai KHushi aa kar guzarne mein

udasi aae to sadiyon ki miTTi chhan leti hai

barabar banT deti hai wo sansen KHak-zadon mein

na-jaane zindagi kis ki dukan se bhan leti hai

isi ke sath chalti hai ye manzil par pahunchne tak

ye rah-e-gham jise apna musafir jaan leti hai

wo har machhli jo machhli ghar ki paidawar ho sahab

wo machhli ghar ko hi apna samundar man leti hai

hum us ke hath pe rakh den zamin-o-asman la kar

magar wo hum faqiron ka kahan ehsan leti hai

sar-e-maqtal bikhar jate hain is mein Dubne wale

mohabbat har qadam par KHun ka tawan leti hai

agar bujhne se bachna hai to lau se lau jalao 'zeb'

hawa jalte charaghon se yahi paiman leti hai

(1434) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nihatte Aadmi Pe BaDh Ke KHanjar Tan Leti Hai In English By Famous Poet Aurangzeb. Nihatte Aadmi Pe BaDh Ke KHanjar Tan Leti Hai is written by Aurangzeb. Read famous Poem Nihatte Aadmi Pe BaDh Ke KHanjar Tan Leti Hai for youth and Student by Aurangzeb. Free Download Nihatte Aadmi Pe BaDh Ke KHanjar Tan Leti Hai in PDF.