Puchhte Hain Tujhko Saffaki Kahan Rah Kar Mili

puchhte hain tujh ko saffaki kahan rah kar mili

ye karamat bheDiyon ke darmiyan rah kar mili

hadson ki zad mein rahte hain zamin-o-asman

kaun si achchhi KHabar mujh ko yahan rah kar mili

har-nafas mujh ko aziyyat ka safar karna paDa

zindagi mujh se hamesha bad-guman rah kar mili

ek tilawat ne meri sanson ko baKHsha hai dawam

zindagi mujh ko sar-e-nok-e-sinan rah kar mili

yani tere sab sitam mujh par karam sabit hue

yani teri har bala hi mehrban rah kar mili

zahr ek miqdar mein us ne diya hai is liye

taqwiyat mujh ko hamesha nim-jaan rah kar mili

main usi ka markazi kirdar hun kya ilm tha

wo kahani jo darun-e-dastan rah kar mili

jo bhi kahte ho utar jata hai mere dil mein 'zeb'

aisi laffazi batao to kahan rah kar mali

(1165) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Puchhte Hain Tujhko Saffaki Kahan Rah Kar Mili In English By Famous Poet Aurangzeb. Puchhte Hain Tujhko Saffaki Kahan Rah Kar Mili is written by Aurangzeb. Read famous Poem Puchhte Hain Tujhko Saffaki Kahan Rah Kar Mili for youth and Student by Aurangzeb. Free Download Puchhte Hain Tujhko Saffaki Kahan Rah Kar Mili in PDF.