Kin Aawazon Ka SannaTa Mujh Mein Hai

kin aawazon ka sannaTa mujh mein hai

jo kuchh bhi tujh mein hai ya mujh mein hai

teri aankhen meri aankhen lagti hain

soch raha hun kaun ye tujh sa mujh mein hai

har mausam ne tere dar par dastak di

aaKHiri dastak dene wala mujh mein hai

dil ki miTTi lahu bana kar chhoDega

ye jo kanch ka chalta TukDa mujh mein hai

jis dariya ka ek kinara wo aankhen

us dariya ka ek kinara mujh mein hai

khilta hai wo phul abhi ek khiDki mein

jis ko aaKHir-kar mahakna mujh mein hai

jin aankhon ki jhilen kanwal khilati hain

rang sunahra un jhilon ka mujh mein hai

(978) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kin Aawazon Ka SannaTa Mujh Mein Hai In English By Famous Poet Ayub Khawar. Kin Aawazon Ka SannaTa Mujh Mein Hai is written by Ayub Khawar. Read famous Poem Kin Aawazon Ka SannaTa Mujh Mein Hai for youth and Student by Ayub Khawar. Free Download Kin Aawazon Ka SannaTa Mujh Mein Hai in PDF.