Koi Na Dekhe Gunj Hawa Ki

koi na dekhe gunj hawa ki

nigaran hai ek zat KHuda ki

kho gain chhoTi chhoTi uDanen

phailte shahron mein chiDiya ki

jitne sahra wo sab mere

sona hai miTTi duniya ki

pahle apni tah ko pa le

dekh rawani phir dariya ki

main ne un aankhon ki KHatir

phulon jaisi ek dua ki

un pathrili aankhon mein hai

ek chup chup taswir wafa ki

zat-safar ke lakhon raste

aabla-pai mujh tanha ki

darwaze ki oT se jhanke

yaad tumhaari shakl saba ki

gham andar ka nam hai 'KHawar'

bahar aanch hai tez hawa ki

(739) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Na Dekhe Gunj Hawa Ki In English By Famous Poet Ayub Khawar. Koi Na Dekhe Gunj Hawa Ki is written by Ayub Khawar. Read famous Poem Koi Na Dekhe Gunj Hawa Ki for youth and Student by Ayub Khawar. Free Download Koi Na Dekhe Gunj Hawa Ki in PDF.