Lahron Mein Badan Uchhaalte Hain

lahron mein badan uchhaalte hain

aao ki falak mein Dubte hain

duniya ki hazar neamaton mein

hum ek tujhi ko jaante hain

aankhon se dukhon ke sare manzar

saras ki uDan uD gae hain

hanste hue be-ghubar chehre

be-wajh udas ho rahe hain

kuchh dukh to KHushi ke bab mein the

baqi bhi nishan pa chuke hain

yun bhi hai ki pyar ke nashe mein

kuchh soch ki log ro paDe hain

sawan ki tarah se log aae

KHushbu ki tarah se guzar gae hain

bahte hue do badan samundar

honTon ke kinare aa lage hain

aankhon mein ye karbala ke manzar

apni hi ana ke rat-jage hain

(727) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lahron Mein Badan Uchhaalte Hain In English By Famous Poet Ayub Khawar. Lahron Mein Badan Uchhaalte Hain is written by Ayub Khawar. Read famous Poem Lahron Mein Badan Uchhaalte Hain for youth and Student by Ayub Khawar. Free Download Lahron Mein Badan Uchhaalte Hain in PDF.