Na Koi Din Na Koi Raat Intizar Ki Hai

na koi din na koi raat intizar ki hai

ki ye judai bharose ki e'tibar ki hai

jo KHak uDi hai mere dukh sameT lenge use

jo bichh gai sar-e-manzar wo rahguzar ki hai

wo wasl ho ki khule aaine pe aks-e-jamal

ye aarzu hai magar baat iKHtiyar ki hai

isi ka nam hai wahshat-sara-e-jaan mein charagh

usi ke lams mein dhaDkan dil-figar ki hai

ye kaun tha jo sar-e-baam KHud ko bhul gaya

ye kis ka raqs tha gardish ye kis ghubar ki hai

ye kaun mujh mein hare mausamon utarta hai

ye kaise rang hain KHushbu ye kis dayar ki hai

bujhane wale ne 'KHawar' bujha diya hai charagh

yahi Thaharne ki saat yahi mazar ki hai

(848) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Koi Din Na Koi Raat Intizar Ki Hai In English By Famous Poet Ayub Khawar. Na Koi Din Na Koi Raat Intizar Ki Hai is written by Ayub Khawar. Read famous Poem Na Koi Din Na Koi Raat Intizar Ki Hai for youth and Student by Ayub Khawar. Free Download Na Koi Din Na Koi Raat Intizar Ki Hai in PDF.