Safar Mein Faslon Ke Sath Baadban Kho Diya

safar mein faslon ke sath baadban kho diya

utar ke paniyon mein hum ne aasaman kho diya

yahi ki in nafas-ghubar saaton ke darmiyan

hawa ne git rah-guzar ne sarban kho diya

ye kaun sawanon mein KHwab dekhta hai dhup ke

ye kis ne e'tibar-e-gham pas-e-guman kho diya

bas ek harf ka gudaz us pe qarz tha so wo

bichhaDte waqt KHamushi ke darmiyan kho diya

firaq manzilon ka ek ghubar tha ki jis ghaDi

charagh-e-shab ne aur dil ne mehman kho diya

ruton mein ek rut yahan shajar bhi kaTne ki thi

pata chala jab apne ghar ka pasban kho diya

bacha liya tha KHwab jo masafaton ki dhup se

wo abr-o-baad manzaron ke darmiyan kho diya

wo nind apne bachpane ki rah mein ujaD gai

us aankh ne bhi mojazon ka ek jahan kho diya

(871) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Safar Mein Faslon Ke Sath Baadban Kho Diya In English By Famous Poet Ayub Khawar. Safar Mein Faslon Ke Sath Baadban Kho Diya is written by Ayub Khawar. Read famous Poem Safar Mein Faslon Ke Sath Baadban Kho Diya for youth and Student by Ayub Khawar. Free Download Safar Mein Faslon Ke Sath Baadban Kho Diya in PDF.