Zabt Karna Na Kabhi Zabt Mein Wahshat Karna
zabt karna na kabhi zabt mein wahshat karna
itna aasan bhi nahin tujh se mohabbat karna
tujh se kahne ki koi baat na karna tujh se
kunj-e-tanhai mein bas KHud ko alamat karna
ek bagule ki tarah DhunDte phirna tujh ko
ru-ba-ru ho to na shikwa na shikayat karna
hum gadayan-e-wafa jaante hain ai dar-e-husn
umr bhar kar-e-nadamat pe nadamat karna
ai asir-e-qafas sahr-e-ana dekh aa kar
kitna mushkil hai tere shahr se hijrat karna
phir wahi KHar-e-mughilan wahi virana hai
ai kaf-e-pa-e-junun phir wahi zahmat karna
surat mah-e-munir ab ke sar-e-baam aa kar
hum gharibon ko bhi kuchh ranj inayat karna
jama karna tah-e-mizhgan tujhe qatra qatra
raat bhar phir tujhe TukDon mein riwayat karna
kaam aisa koi mushkil to nahin hai 'KHawar'
magar ek dast-e-hina-rang pe baiat karna
(4097) Peoples Rate This