Kuchh Aur Ho Bhi To Raegan Hai

hawaen bhi

baadban bhi mere

samundaron ke sukut mein

be-libas naslon ke reza reza jamal ke sab nishan bhi mere

mere shikasta wajud ki

lahlahati faslon pe

girne wali shafiq shabnam mein ret ke aasman bhi mere

qadim lafzon ke gham mein be-jaan manzaron ke jahan bhi mere

sitara-e-dil ki wusaton mein

khile hue jangalon ke asrar saaton ke guman bhi mere

mere tasawwur ke bojh se TuTti zamin par

halak hote hue labon par wafaon ke sab nishan bhi mere

gulab-chehron pe

sabz aankhon ke manzaron mein

najat-e-gham ki shikasta KHwahish ki rakh meri bujhe hue karwan bhi mere

jo kho gae

aur jo aane wale dinon ka dukh hai

wahi mere be-wajud chehre

sitara-e-dil ki be-panahi ka pasban hai

kuchh aur ho bhi to raegan hai

(1076) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Aur Ho Bhi To Raegan Hai In English By Famous Poet Ayub Khawar. Kuchh Aur Ho Bhi To Raegan Hai is written by Ayub Khawar. Read famous Poem Kuchh Aur Ho Bhi To Raegan Hai for youth and Student by Ayub Khawar. Free Download Kuchh Aur Ho Bhi To Raegan Hai in PDF.