Mohabbat Ka Ek Sal

is ek sal mein

kitne sal guzarenge hum

har ek din, ek sal misal

har ek din ki subh ka suraj harf-e-sawal

har ek din ki jhulsi hui aur bhigi hui dopahr zawal

har ek din ki, har ek sham sham-e-jamal

har ek sham ki raat kamal

wasl ke har ek lamhe mein hain jaise sadiyan ghuli hui

hijr ke har lamhe mein jaise

halki aanch pe ret ki dhaDyan bhuni hui

sine mein har dhaDkan, jaise

cholastani unT ki gardan mein hon Taliyan bandhi hui

aankhon ki do jhilon mein hain

kanwal malal ke khile hue

honT aapas mein mile hue

hichkiyon mein hain bandhe hue

sans ki phans hai sale suraj ke sine mein gaDi hui

chand haram-udahar, samundar goTh ke andar

barfon barfon dhansa hua

din aur raat bhi

nang-dhaDange ek duje se lage hue

un ke panw-tale miTTi hai

aur na sar par Topi hai

waqt aane wale barson ke KHala mein chalta jata hai

ye ek sal mohabbat ka

thame hue din raat ke nange-pan par jamta jata hai

(1062) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mohabbat Ka Ek Sal In English By Famous Poet Ayub Khawar. Mohabbat Ka Ek Sal is written by Ayub Khawar. Read famous Poem Mohabbat Ka Ek Sal for youth and Student by Ayub Khawar. Free Download Mohabbat Ka Ek Sal in PDF.