Na Puchho Kaun Hain Kyun Rah Mein Na-chaar BaiThe Hain

na puchho kaun hain kyun rah mein na-chaar baiThe hain

musafir hain safar karne ki himmat haar baiThe hain

idhar pahlu se wo uTThe udhar duniya se hum uTThe

chalo hum bhi tumhaare sath hi bekar baiThe hain

kise fursat ki farz-e-KHidmat-e-ulfat baja lae

na tum bekar baiThe ho na hum bekar baiThe hain

jo uTThe hain to garm-e-justuju-e-dost uTThe hain

jo baiThe hain to mahw-e-arzu-e-yar baiThe hain

maqam-e-dast-giri hai ki tere rah-raw-e-ulfat

hazaron justujuen kar ke himmat haar baiThe hain

na puchho kaun hain kya muddaa hai kuchh nahin baba

gada hain aur zer-e-saya-e-diwar baiThe hain

ye ho sakta nahin 'azad' se mai-KHana KHali ho

wo dekho kaun baiTha hai wahi sarkar baiThe hain

(935) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Puchho Kaun Hain Kyun Rah Mein Na-chaar BaiThe Hain In English By Famous Poet Azad Ansari. Na Puchho Kaun Hain Kyun Rah Mein Na-chaar BaiThe Hain is written by Azad Ansari. Read famous Poem Na Puchho Kaun Hain Kyun Rah Mein Na-chaar BaiThe Hain for youth and Student by Azad Ansari. Free Download Na Puchho Kaun Hain Kyun Rah Mein Na-chaar BaiThe Hain in PDF.