Din Mein Is Tarah Mere Dil Mein Samaya Suraj

din mein is tarah mere dil mein samaya suraj

raat aankhon ke ufuq par ubhar aaya suraj

apni to raat bhi jalte hi kaTi din ki tarah

raat ko so to gaya din ka sataya suraj

subh nikla kisi dulhan ki damak ruKH pe liye

sham Duba kisi bewa sa bujhaya suraj

raat ko main mera saya the ikaTThe donon

le gaya chhin ke din ko mera saya suraj

din guzarta na tha kam-baKHt ka tanha jalte

wadi-e-shab se mujhe DhunD ke laya suraj

tu ne jis din se mujhe saunp diya zulmat ko

tab se din mein bhi na mujh ko nazar aaya suraj

aasman ek sulagta hua sahra hai jahan

DhunDhta phirta hai KHud apna hi saya suraj

din ko jis ne hamein nezon pe chaDhae rakkha

shab ko hum ne wahi palkon pe sulaya suraj

(766) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Din Mein Is Tarah Mere Dil Mein Samaya Suraj In English By Famous Poet Azad Gulati. Din Mein Is Tarah Mere Dil Mein Samaya Suraj is written by Azad Gulati. Read famous Poem Din Mein Is Tarah Mere Dil Mein Samaya Suraj for youth and Student by Azad Gulati. Free Download Din Mein Is Tarah Mere Dil Mein Samaya Suraj in PDF.