Bahut Lamba Safar Tapti Sulagti KHwahishon Ka Tha

bahut lamba safar tapti sulagti KHwahishon ka tha

magar saya hamare sar pe guzri saaton ka tha

saron pe hath apne ghar ki bosida chhaton ka tha

magar mahfuz sa manzar hamare aanganon ka tha

kisi bhi sidhe raste ka safar milta use kyun-kar

ki wo masdud KHud apne banae daeron ka tha

kabhi hanste hue aansu kabhi roti hui KHushiyan

karishma jo bhi tha sara hamari hi hison ka tha

KHud apni kawishon se hum ne apni qismaten likkhin

magar kuchh hath in mein bhi hamare dushmanon ka tha

nae rishte muqaddas KHwab se aawaz dete the

magar aaseb sa dil par guzishta rabton ka tha

kise milti najat 'azad' hasti ke masail se

ki har koi muqayyad aab-o-gil ke silsilon ka tha

(730) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bahut Lamba Safar Tapti Sulagti KHwahishon Ka Tha In English By Famous Poet Azad Gulati. Bahut Lamba Safar Tapti Sulagti KHwahishon Ka Tha is written by Azad Gulati. Read famous Poem Bahut Lamba Safar Tapti Sulagti KHwahishon Ka Tha for youth and Student by Azad Gulati. Free Download Bahut Lamba Safar Tapti Sulagti KHwahishon Ka Tha in PDF.