Apni Sari Kawishon Ko Raegan Maine Kiya

apni sari kawishon ko raegan main ne kiya

mere andar jo na tha us ko bayan main ne kiya

sar pe jab saya raha koi na dauran-e-safar

us ki yaadon ko phir apna saeban main ne kiya

ab yahan par sans tak lena mujhe dushwar hai

kis tamanna par zamin ko aasman main ne kiya

lamha lamha waqt ke hathon kiya KHud ko supurd

sab ganwa baiTha to phir fikr-e-ziyan main ne kiya

jab na us ke aur mere darmiyan kuchh bhi raha

KHud ko hi phir us ke apne darmiyan main ne kiya

donon chup the zor se chalti hawa ke samne

phir achanak KHushk patton ko zaban main ne kiya

(702) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apni Sari Kawishon Ko Raegan Maine Kiya In English By Famous Poet Azad Gulati. Apni Sari Kawishon Ko Raegan Maine Kiya is written by Azad Gulati. Read famous Poem Apni Sari Kawishon Ko Raegan Maine Kiya for youth and Student by Azad Gulati. Free Download Apni Sari Kawishon Ko Raegan Maine Kiya in PDF.