Aane Wale Hadson Ke KHauf Se Sahme Hue

aane wale hadson ke KHauf se sahme hue

log phirte hain ki jaise KHwab hon TuTe hue

subh dekha to na tha kuchh pas uljhan ke siwa

raat hum baiThe rahe kis soch mein Dube hue

apne dukh mein Dub kar wusat mili kaisi hamin

hain zamin se aasman tak hum hi hum phaile hue

aaj aaine mein KHud ko dekh kar yaad aa gaya

ek muddat ho gai jis shaKHs ko dekhe hue

jism ki diwar gir jae to kuchh ehsas ho

apne andar hum paDe hain kis qadar simTe hue

kis se puchhen raat-bhar apne bhaTakne ka sabab

sab yahan milte hain jaise nind mein jage hue

is nagar ke jagmagate raston par ghum kar

hum chale aae ghamon ki dhul mein lipTe hue

jin ko ai 'azad' baKHshi thi mahak hum ne kabhi

ab wahi raste hamare waste kanTe hue

(809) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aane Wale Hadson Ke KHauf Se Sahme Hue In English By Famous Poet Azad Gulati. Aane Wale Hadson Ke KHauf Se Sahme Hue is written by Azad Gulati. Read famous Poem Aane Wale Hadson Ke KHauf Se Sahme Hue for youth and Student by Azad Gulati. Free Download Aane Wale Hadson Ke KHauf Se Sahme Hue in PDF.