Karb Hare Mausam Ka Tab Tak Sahna PaDta Hai

karb hare mausam ka tab tak sahna paDta hai

patjhaD mein to pat ko aaKHir jhaDna paDta hai

kab tak auron ke sanche mein Dhalte jaenge

kisi jagah to hum ko aaKHir uDna paDta hai

sirf andhere hi se diye ki jang nahin hoti

tez hawaon se bhi is ko laDna paDta hai

sahi-salamat aage baDhte rahne ki KHatir

kabhi kabhi to KHud bhi pichhe haTna paDta hai

sher kahen to aql-o-junun ki sarhad par ruk kar

lafzon mein jazbon ke nagon ko jaDna paDta hai

jiwan jina itna bhi aasan nahin 'azad'

sans sans mein reza reza kaTna paDta hai

(847) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Karb Hare Mausam Ka Tab Tak Sahna PaDta Hai In English By Famous Poet Azad Gulati. Karb Hare Mausam Ka Tab Tak Sahna PaDta Hai is written by Azad Gulati. Read famous Poem Karb Hare Mausam Ka Tab Tak Sahna PaDta Hai for youth and Student by Azad Gulati. Free Download Karb Hare Mausam Ka Tab Tak Sahna PaDta Hai in PDF.