Kabhi Mili Jo Tere Dard Ki Nawa Mujhko

kabhi mili jo tere dard ki nawa mujh ko

KHamoshiyon ne mujhi se kiya juda mujh ko

badan ke sune khanDar mein kabhi jala mujh ko

main teri ruh ki zau hun na yun bujha mujh ko

main apni zat ki ham-saegi se Darta hun

mere qarib KHuda ke liye na la mujh ko

main chup hun apni shikast-e-sada ki wahshat par

mujhe na bolna paD jae mat bula mujh ko

ye main tha ya mere andar ka KHauf tha jis ne

tamam umr di tanhai ki saza mujh ko

bhaTak raha hun main be-samt raston ki tarah

kisi bhi samt ka ho rasta dikha mujh ko

har ek ne dekha mujhe apni apni nazron se

koi to meri nazar se bhi dekhta mujh ko

samo ke aankhon mein umDi ghaTaen ai 'azad'

wo ek dard ka sahra bana gaya mujh ko

(924) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Mili Jo Tere Dard Ki Nawa Mujhko In English By Famous Poet Azad Gulati. Kabhi Mili Jo Tere Dard Ki Nawa Mujhko is written by Azad Gulati. Read famous Poem Kabhi Mili Jo Tere Dard Ki Nawa Mujhko for youth and Student by Azad Gulati. Free Download Kabhi Mili Jo Tere Dard Ki Nawa Mujhko in PDF.