Gung Hain Sari Zaminen Aasman Hairat-zada

gung hain sari zaminen aasman hairat-zada

raftagan shashdar sabhi aaindagan hairat-zada

chus leti hai zamin pani jahan hon nafraten

KHushk hoti nahr pe mat hon kisan hairat-zada

kaun ghar ka hai ye dhowan kis ki hai yaKH-bastagi

barf hoti is nadi ka sab dhuan hairat-zada

is tahayyur-KHez shahr-e-nur ki har shai ajab

har yaqin hairat-zada har-ik guman hairat-zada

daKHle par taKHtiyan hain jin pe kunda nam hain

kaun kaise kis tarah aur hai kahan hairat-zada

sang-e-marmar se bana jangal jahan-e-arzu

daftari lahja liye main ek jawan hairat-zada

kis tarah ka dars mujh ko de raha hai aaftab

sahn-e-maktab mein kahin hai kahkashan hairat-zada

zikr tha malfuf kun ka aasman ki baat thi

sun raha tha shahr sara dastan hairat-zada

(1577) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gung Hain Sari Zaminen Aasman Hairat-zada In English By Famous Poet Azad Husain Azad. Gung Hain Sari Zaminen Aasman Hairat-zada is written by Azad Husain Azad. Read famous Poem Gung Hain Sari Zaminen Aasman Hairat-zada for youth and Student by Azad Husain Azad. Free Download Gung Hain Sari Zaminen Aasman Hairat-zada in PDF.