Is Se Pahle Ki Ghar Ke Pardon Se

is se pahle ki ghar ke pardon se

Teddy-patlun koi silwa lun

is se pahle ki tujh ko de kar dil

tere kuche mein KHud ko piTwa lun

is se pahle ki teri furqat mein

KHud-kashi ki scheme apna lun

is se pahle ki ek teri KHatir

nam ghunDon mein apna likhwa lun

main tera shahr chhoD jaunga

is se pahle ki wo udu kam-baKHt

tere ghar ja ke chughliyan khae

is se pahle ki den rapaT ja kar

tere mere sharif ham-sae

is se pahle ki teri farmaish

mujh se chori ka jurm karwae

is se pahle ki apna thanedar

murgha thane mein mujh ko banwae

main tera shahr chhoD jaunga

tujh ko aagah kyun na kar dun main

apne is intizam se pahle

mashwara bhi tujhi se karna hai

apni marg-e-haram se pahle

koi aisi train batla de

jae jo tez-gam se pahle

aaj ke is dinner ko bhugta kar

kal kisi waqt sham se pahle

main tera shahr chhoD jaunga

dil ki gardan maroD jaunga

(636) Peoples Rate This

Azar Askari's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Is Se Pahle Ki Ghar Ke Pardon Se In English By Famous Poet Azar Askari. Is Se Pahle Ki Ghar Ke Pardon Se is written by Azar Askari. Read famous Poem Is Se Pahle Ki Ghar Ke Pardon Se for youth and Student by Azar Askari. Free Download Is Se Pahle Ki Ghar Ke Pardon Se in PDF.