Lai Na Saba Bu-e-chaman Ab Ke Baras Bhi

lai na saba bu-e-chaman ab ke baras bhi

kuchh soch ke KHamosh hain yaran-e-qafas bhi

dastur-e-mohabbat hi nahin jaan se guzarna

kar lete hain ye kaam kabhi ahl-e-hawas bhi

nazuk hain marahil safar-e-manzil-e-gham ke

is rah mein kho jati hai aawaz-e-jaras bhi

aazad bhi ho jaenge aaKHir tere qaidi

ek rose bikhar jaegi zanjir-e-nafas bhi

angusht-numa shaiKH-o-barahman ke chalan par

masjid ke manare bhi hain mandir ke kalas bhi

diwana abhi tak hai usi dushman-e-jaan ka

aata hai dil-e-zar pe ghussa bhi taras bhi

kuchh aap ka gham kuchh gham-e-jaan kuchh gham-e-duniya

daman mein mere phul bhi hain KHar bhi KHas bhi

chup rah ke bhi mumkin na raha dard chhupana

ek shoala-e-awaz hai ab mauj-e-nafas bhi

(777) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lai Na Saba Bu-e-chaman Ab Ke Baras Bhi In English By Famous Poet Azeem Murtaza. Lai Na Saba Bu-e-chaman Ab Ke Baras Bhi is written by Azeem Murtaza. Read famous Poem Lai Na Saba Bu-e-chaman Ab Ke Baras Bhi for youth and Student by Azeem Murtaza. Free Download Lai Na Saba Bu-e-chaman Ab Ke Baras Bhi in PDF.