Mahrumi Ke Dukh Aur Tanhai Ke Ranj UThae

mahrumi ke dukh aur tanhai ke ranj uThae

lekin hum ko aaj bhi jhuTa pyar na karna aae

sail-e-gham-e-duniya ne dil se kya kya naqsh miTae

hijr ki raaton mein ab teri shakl bhi yaad na aae

tanhai ka sannaTa aur aati jati raaten

teri yaad na aur koi gham phir bhi nind na aae

tere masumana pyar ki daulat pa kar hum ne

akasr naz kiya hai lekin kabhi kabhi pachhtae

pyasi kaliyan pani ke qatre qatre ko tarsen

aur karam ka baadal dariyaon pe barasta jae

(881) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mahrumi Ke Dukh Aur Tanhai Ke Ranj UThae In English By Famous Poet Azeem Murtaza. Mahrumi Ke Dukh Aur Tanhai Ke Ranj UThae is written by Azeem Murtaza. Read famous Poem Mahrumi Ke Dukh Aur Tanhai Ke Ranj UThae for youth and Student by Azeem Murtaza. Free Download Mahrumi Ke Dukh Aur Tanhai Ke Ranj UThae in PDF.