Nim-shab Aatish-e-fariyaad-e-asiran Raushan

nim-shab aatish-e-fariyaad-e-asiran raushan

dhup si phail rahi hai sar-e-diwar-e-chaman

ya tere qurb ki ye saat-e-afsurda hai

ya kabhi tere tasawwur se sulagta tha badan

dil-jale roe hain shayad kahin phir aaKHir-e-shab

bhiga bhiga hai nasim-e-sahari ka daman

aaj tak yaad hai wo sham-e-judai ka saman

teri aawaz ki larzish tere lahje ki thakan

dil ke zaKHmon se mahak aati hai phulon ki 'azim'

sina-e-chaak hai ya raKHna-e-diwar-e-chaman

(663) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nim-shab Aatish-e-fariyaad-e-asiran Raushan In English By Famous Poet Azeem Murtaza. Nim-shab Aatish-e-fariyaad-e-asiran Raushan is written by Azeem Murtaza. Read famous Poem Nim-shab Aatish-e-fariyaad-e-asiran Raushan for youth and Student by Azeem Murtaza. Free Download Nim-shab Aatish-e-fariyaad-e-asiran Raushan in PDF.