Subh Aati Hai To AKHbar Se Lag Jate Hain

subh aati hai to aKHbar se lag jate hain

sham jo Dhalti hai bazar se lag jate hain

ishq mein aur bhala is ke siwa kya hoga

dar se uThte hain to diwar se lag jate hain

jab ghaDi aati hai insaf ki dhire dhire

jurm aa kar sabhi haqdar se lag jate hain

hijr mein tere to ek chup si lagi rahti hai

wasl mein baaton ke ambar se lag jate hain

waqt aata hai jo suli se utarne ka meri

sach simaT kar meri guftar se lag jate hain

ab ke mausam bhi ajab hai teri baaton jaisa

sun ke baaten teri ashjar se lag jate hain

khol deti hai hawas pahle to chhoTi si dukan

dekhte dekhte bazar se lag jate hain

KHwab hai, jhuT hai, maya hai ya koi wardan

hum to sab bhul ke sansar se lag jate hain

(637) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Subh Aati Hai To AKHbar Se Lag Jate Hain In English By Famous Poet Azeez Preehar. Subh Aati Hai To AKHbar Se Lag Jate Hain is written by Azeez Preehar. Read famous Poem Subh Aati Hai To AKHbar Se Lag Jate Hain for youth and Student by Azeez Preehar. Free Download Subh Aati Hai To AKHbar Se Lag Jate Hain in PDF.