Qadam Qadam Nishan DhunDhta Raha

qadam qadam nishan DhunDhta raha

main ek naya jahan DhunDhta raha

bahut se qafile mile the rah mein

main apna karwan DhunDhta raha

nikal gaya jo main hudud-e-waqt se

to mujh ko aasman DhunDhta raha

idhar main dar-ba-dar makan ke liye

udhar mujhe makan DhunDhta raha

ajib shaKHs hun KHushi ka ek pal

ghamon ke darmiyan DhunDhta raha

mujhe bayan kar raha tha koi shaKHs

main apni dastan DhunDhta raha

(796) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qadam Qadam Nishan DhunDhta Raha In English By Famous Poet Azhar Abbas. Qadam Qadam Nishan DhunDhta Raha is written by Azhar Abbas. Read famous Poem Qadam Qadam Nishan DhunDhta Raha for youth and Student by Azhar Abbas. Free Download Qadam Qadam Nishan DhunDhta Raha in PDF.