Apna Jaisa Bhi Haal Rakkha Hai

apna jaisa bhi haal rakkha hai

tere gham ko nihaal rakkha hai

shaeri kya hai hum ne jine ka

ek rasta nikal rakkha hai

hum ne ghar ki salamti ke liye

KHud ko ghar se nikal rakkha hai

mere andar jo sar-phira hai use

main ne zindan mein Dal rakkha hai

ek chehra hai hum ne jis ke liye

aainon ka KHayal rakha hai

is baras ka bhi nam hum ne to

teri yaadon ka sal rakkha hai

girte girte bhi hum ne hathon par

aasman ko sambhaal rakkha hai

kya KHabar shishagar ne kyun 'azhar'

mere shishe mein baal rakkha hai

(753) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apna Jaisa Bhi Haal Rakkha Hai In English By Famous Poet Azhar Adeeb. Apna Jaisa Bhi Haal Rakkha Hai is written by Azhar Adeeb. Read famous Poem Apna Jaisa Bhi Haal Rakkha Hai for youth and Student by Azhar Adeeb. Free Download Apna Jaisa Bhi Haal Rakkha Hai in PDF.