Dil Pyasa Aur Aankh Sawali Rah Jati Hai

dil pyasa aur aankh sawali rah jati hai

is ke baad ye basti KHali rah jati hai

be-KHwabi kab chhup sakti hai kajal se bhi

jagne wali aankh mein lali rah jati hai

tir taraazu ho jata hai aa kar dil mein

hathon mein zaitun ki Dali rah jati hai

dhup se rang aur hawa se kaghaz uD jate hain

zehn mein ek taswir KHayali rah jati hai

kabhi kabhi to 'azhar' bilkul mar jata hun

bas ek miTTi oDhne wali rah jati hai

(763) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Pyasa Aur Aankh Sawali Rah Jati Hai In English By Famous Poet Azhar Adeeb. Dil Pyasa Aur Aankh Sawali Rah Jati Hai is written by Azhar Adeeb. Read famous Poem Dil Pyasa Aur Aankh Sawali Rah Jati Hai for youth and Student by Azhar Adeeb. Free Download Dil Pyasa Aur Aankh Sawali Rah Jati Hai in PDF.