Ghaneri Chhanw Ke Sapne Bahut Dikhae Gae

ghaneri chhanw ke sapne bahut dikhae gae

sawal ye hai ki kitne shajar ugae gae

mili hai aur hi tabir aa ke manzil par

wo aur KHwab the raste mein jo dikhae gae

mere lahu se mujhe munhadim karaya gaya

dayar-e-ghair se lashkar kahan bulae gae

diye bana ke jalai thin ungliyan hum ne

andheri shab ki adalat mein hum bhi lae gae

falak pe uDte huon ko qafas mein Dala gaya

zamin pe rengne walon ko par lagae gae

hamare nam ki taKHti bhi un pe lag na saki

lahu mein gundh ke miTTi jo ghar banae gae

mile the pahle se likkhe hue adalat ko

wo faisle jo hamein baad mein sunae gae

tamam sad sitare bigaD gae 'azhar'

sulagti ret pe jab zaiche banae gae

(762) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghaneri Chhanw Ke Sapne Bahut Dikhae Gae In English By Famous Poet Azhar Adeeb. Ghaneri Chhanw Ke Sapne Bahut Dikhae Gae is written by Azhar Adeeb. Read famous Poem Ghaneri Chhanw Ke Sapne Bahut Dikhae Gae for youth and Student by Azhar Adeeb. Free Download Ghaneri Chhanw Ke Sapne Bahut Dikhae Gae in PDF.