Jagah Phulon Ki Rakhte Hain Ghana Saya Banate Hain

jagah phulon ki rakhte hain ghana saya banate hain

chalo apne KHayali shahr ka naqsha banate hain

abhi to chaak par hain kya kahen hum apne bare mein

na jaane dast-e-kuza-gar hamein kaisa banate hain

banani hai hamein taswir-e-dil kaghaz pe lekin hum

kabhi dariya banate hain kabhi sahra banate hain

ghazal us ke liye kahte hain lekin dar-haqiqat hum

ghane jangal mein kirnon ke liye rasta banate hain

kabhi bhule se bhi us ki taraf mat dekhna 'azhar'

zara si baat ka ye log afsana banate hain

(701) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jagah Phulon Ki Rakhte Hain Ghana Saya Banate Hain In English By Famous Poet Azhar Adeeb. Jagah Phulon Ki Rakhte Hain Ghana Saya Banate Hain is written by Azhar Adeeb. Read famous Poem Jagah Phulon Ki Rakhte Hain Ghana Saya Banate Hain for youth and Student by Azhar Adeeb. Free Download Jagah Phulon Ki Rakhte Hain Ghana Saya Banate Hain in PDF.