Kuchh Ab Ke Rasm-e-jahan Ke KHilaf Karna Hai

kuchh ab ke rasm-e-jahan ke KHilaf karna hai

shikast de ke adu ko maf karna hai

hawa ko zid ki uDaegi dhul har surat

hamein ye dhun hai ki aaina saf karna hai

wo bolta hai to sab log aise sunte hain

ki jaise us ne koi inkishaf karna hai

mujhe pata hai ki apne bayan se us ne

kahan kahan pe abhi inhiraf karna hai

charagh le ke hatheli pe ghumna aise

hawa-e-tund ko apne KHilaf karna hai

wo jurm hum se jo sarzad nahin hue 'azhar'

abhi to un ka hamein e'tiraf karna hai

(795) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Ab Ke Rasm-e-jahan Ke KHilaf Karna Hai In English By Famous Poet Azhar Adeeb. Kuchh Ab Ke Rasm-e-jahan Ke KHilaf Karna Hai is written by Azhar Adeeb. Read famous Poem Kuchh Ab Ke Rasm-e-jahan Ke KHilaf Karna Hai for youth and Student by Azhar Adeeb. Free Download Kuchh Ab Ke Rasm-e-jahan Ke KHilaf Karna Hai in PDF.