Jate Hue Nahin Raha Phir Bhi Hamare Dhyan Mein

jate hue nahin raha phir bhi hamare dhyan mein

dekhi bhi hum ne machhliyan shishe ke martaban mein

pahle bhi apni jholiyan jhaD kar uTh gae the hum

aisi hi ek raat thi aisi hi dastan mein

sath zaif bap ke lag gain kaam-kaj par

gahne chhupa ke laDkiyan dadi ke pan-dan mein

ghanTi baja ke bhagte bachchon ko thoDi ilm hai

rahta nahin hai koi bhi aadmi is makan mein

yani majal kuchh nahin zarron ke ijtima ki

yani sabhi mah-o-nujum ek hi KHandan mein

itna bhi muKHtalif nahin mera tumhaara tajraba

jaise ki tum muqim ho aur kisi jahan mein

(1339) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Jate Hue Nahin Raha Phir Bhi Hamare Dhyan Mein In English By Famous Poet Azhar Faragh. Jate Hue Nahin Raha Phir Bhi Hamare Dhyan Mein is written by Azhar Faragh. Read famous Poem Jate Hue Nahin Raha Phir Bhi Hamare Dhyan Mein for youth and Student by Azhar Faragh. Free Download Jate Hue Nahin Raha Phir Bhi Hamare Dhyan Mein in PDF.