Aazurda Nigahon Pe Ye Manzar Nahin Utra

aazurda nigahon pe ye manzar nahin utra

sahra-e-tasawwur mein koi ghar nahin utra

jab mil gaya irfan-e-nazar mujh ko KHuda se

phir kyun mere ehsas se mahshar nahin utra

dekha nahin jis ne mere tufan ko sukun mein

wo shaKHs meri ruh ke andar nahin utra

zalim to bahut hain magar ab un ko miTane

phir koi ababil ka lashkar nahin utra

is masnad-e-KHaki pe main baiTha hun jahan par

koi bhi mahal-saz barabar nahin utra

tanhai jahan bhi mili aadab kiya hai

haq-talfi pe us ki mera paikar nahin utra

samjhaute bulate rahe de kar mujhe gauhar

iman ke ziyan mein magar 'azhar' nahin utra

(783) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aazurda Nigahon Pe Ye Manzar Nahin Utra In English By Famous Poet Azhar Hashmi. Aazurda Nigahon Pe Ye Manzar Nahin Utra is written by Azhar Hashmi. Read famous Poem Aazurda Nigahon Pe Ye Manzar Nahin Utra for youth and Student by Azhar Hashmi. Free Download Aazurda Nigahon Pe Ye Manzar Nahin Utra in PDF.