Bas Ranj Ki Hai Dastan Unwan Hazaron

bas ranj ki hai dastan unwan hazaron

jine ke liye mar gae insan hazaron

wo jis ne meri ruh ko dard-ashna rakkha

hain mujh pe usi zaKHm ke ehsan hazaron

jis KHak se kahte ho wafa hum nahin karte

soe hain usi KHak mein sultan hazaron

ek rasm-e-takabbur hai so is daur ke insan

jebon mein liye phirte hain pahchan hazaron

lazim hai masafat mein bhaTak jaana hamara

hum tanha musafir ke hain saman hazaron

ab hai faqat andesha-e-haalat mayassar

hum dil mein kabhi rakhte the arman hazaron

ye shahr-e-suKHan hai yahan har moD pe 'azhar'

hoshiyar bane baiThe hain nadan hazaron

(731) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bas Ranj Ki Hai Dastan Unwan Hazaron In English By Famous Poet Azhar Hashmi. Bas Ranj Ki Hai Dastan Unwan Hazaron is written by Azhar Hashmi. Read famous Poem Bas Ranj Ki Hai Dastan Unwan Hazaron for youth and Student by Azhar Hashmi. Free Download Bas Ranj Ki Hai Dastan Unwan Hazaron in PDF.