Gar Eqtidar-e-sukun Eqtidar-e-wahshat Hai

gar eqtidar-e-sukun eqtidar-e-wahshat hai

to phir dayar-e-mohabbat dayar-e-wahshat hai

daraaz ho rahe imkan bhi ab ibaadat ke

hisar-e-bandagi goya hisar-e-wahshat hai

har ek shaKHs hai taswir-e-kaamran KHud mein

ana ki aab-e-hawa mein KHumar-e-wahshat hai

dawam paega ek rose haq zamane mein

ye intizar nahin intizar-e-wahshat hai

gulon mein husn nahin aur chaman bhi aazurda

mere qarib huwaida bahaar-e-wahshat hai

abhi na puchhiye haal-e-gham-e-dil-e-'azhar'

abhi nazar mein muqaddam ghubar-e-wahshat hai

(982) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gar Eqtidar-e-sukun Eqtidar-e-wahshat Hai In English By Famous Poet Azhar Hashmi. Gar Eqtidar-e-sukun Eqtidar-e-wahshat Hai is written by Azhar Hashmi. Read famous Poem Gar Eqtidar-e-sukun Eqtidar-e-wahshat Hai for youth and Student by Azhar Hashmi. Free Download Gar Eqtidar-e-sukun Eqtidar-e-wahshat Hai in PDF.