Guzre Hue Lamhat Ko Ab DhunD Raha Hun

guzre hue lamhat ko ab DhunD raha hun

main apne muqaddar mein ghazab DhunD raha hun

sajde ka sabab jaan ke shirin hai pareshan

farhad ne kah Dala ke rab DhunD raha hun

wo hain ki nibhane bhi lage wasl ke aadab

main hun ki taghaful ka sabab DhunD raha hun

zalim mujhe phir saikDon gham dene laga hai

main zindagi mein ek KHushi jab DhunD raha hun

kyun mujh ko suKHnawar kaho pagal na kaho tum

har bazm mein jo bazm-e-adab DhunD raha hun

aazurda thi ghurbat mein mere dost ki hijrat

kuchh main bhi pareshan hun arab DhunD raha hun

bas ek pata hi to mujhe yaad hai 'azhar'

diwana hai kya tujh ko main kab DhunD raha hun

(850) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Guzre Hue Lamhat Ko Ab DhunD Raha Hun In English By Famous Poet Azhar Hashmi. Guzre Hue Lamhat Ko Ab DhunD Raha Hun is written by Azhar Hashmi. Read famous Poem Guzre Hue Lamhat Ko Ab DhunD Raha Hun for youth and Student by Azhar Hashmi. Free Download Guzre Hue Lamhat Ko Ab DhunD Raha Hun in PDF.